SEBI ने बढ़ाया Trading का Time😳⌚ | #stockmarket #finance #shorts



Stock Exchnages ko Time Badhana Padega

Sirf brokers ki app me tech glitch hone se traders ka nuksan nahi hota.
Unhe jayada nuksaan jhelna padta h jab stock exchnage NSE ya BSE,
hacking ya kisi aur technical glitch ka shikar ho jaata h aur ab traders ko rahat dene ke liye SEBI nayi guidelines lekar aaya h.

Saal 2022 me NSE aur BSE ke kai trading segments me dikkato ke chalte trading band karni padi thi aur tarders iska koi solution maang rahe the jise dekhet hue ab SEBI ne Exchanges ko notice issue kiya h ki tech glitch hone ke 15 minute ke bhitar hi use email ke through broker ko inform karna hoga aur uske baad har 45 min baad update bhi dena hoga.

Haan aur agar koi particular trading segment tech glitch se affect hota h to baki segments par normal trading continue kar sakte h poore exchange ko band karne ki jarurat nahi h.

Aur traders? Unke liye kucch nahi h kya?

Tech glitch ki wajah se band trading agar market band hone ke time yani 3:30 se ek ghante pehle resume ho jaati h to market normal time par hi band hogi lekin agar esa nahi ho pata to har stock exchange par trading time 90 minute tak badh jayega.

Haan agar fir bhi 3:30 ke 45 baad bhi exchange par normal trading resume nahi hoti to trading allowed nahi hogi haan dusre exhanges extended trading time me intraday aur poistions ki normal settlement continue kar sakte h.

source